Kalaam e paak me hai Kya ali ali k siwa
Nahi hai koi wazeefa ali ali k siwa
Karo rasool ki midhat magar khayaal rahe
Naa hoga pura qasida ali ali k siwa
Gaye jo daar k mimbar pe hazrat e meesam
Wahaa’n bhi kuch naa sunaya ali ali k siwa
Sawaal mujhse naqeerain ne kiya to bahot
Mai kuch bhi keh nahi paaya ali ali k siwa
Ye keh k meri lehed se farishte laut gaye
Isay to kuch nahi aata ali ali k siwa
Hayaat meri to guzri hai muflisi me magar
Khuda se kuch nahi maanga ali ali k siwa
Feshaare qabr ho meezaan ho k mehshar ho
Nahi hai koi sahara ali ali k siwa
Gaye the rab ki mulakat ko rasool magar
Waha kisi ko naa paaya ali ali k siwa
Maqaam e arsh se lekar hijaab e noor talak
Nabi ne kuch nahi socha ali ali k siwa
Najaat k liye khake Shifa se tunay kumail
Kafan pa kuch nahi likha ali ali k siwa
0 comments:
Post a Comment