from khudba e jumma bhavnagar
dt.19-06-2015
imam ali a s (nahjul balagah me) farmate hai ki
khudba no. 151- har shakhs ka anjam hone vala hai chahe wo shiri ho ya kadva ho
agar insan ka iman aur amal behtar hai to uska anjam achchha hoga agar uska iman aur amal achha nahi hai to uska anjam kadwa hoga.
152- har aane wala palatne wala hai aur aisa paltega jaisa tha hi nahi
Allah subhanu kuran e majid me farmata hai har nafs maut ka maza chakhne wala hai aur tum sab ki waapsi hamari taraf hi hone wali hai
153- sabr karne wala kamiyabi se mahrum nahi ho sakta chahe zamana kitna hi kyu na pichhe lag jaae
sabr ka matlab dabna aur zulm sahan karna nahi hai
154-kisi kaum ke amal se raazi hone wala us kaum ke saath shumaar ho jaataa hai
agar koi zulm ho raha hai aur us zulm se koi raazi hota hai to wo bhi gunehgaar hai aur us par do gunah laagu honge
ham ziyarat me bhi padte hai ki laanat ho un par jinhone imam hussain a s ki shahadat ki khabar suni aur raazi rahe aur yazid ki mukhalefat nahi ki
155- uski itaat zarur karo jiski maarefat na hona kaabile maafi nahi hai
jo bhi apne imam ki maarefat haasil kiye bina mar jaae to uski maut jaahil ki maut hai
Allah, rasul aur imam ki itaat karo
hamare paygambar saww ne khudba e shabaniya me farmaya hai ki :
is mahine me tumhe parwardigar ki ziyaafat ki taraf daawat di gai hai
is mahine me tumhe Allah bula rahe hai to sachi niyyat aur paakiza kalb ke saath aao.
is mahine ki bhukh aur pyaas ke zariye qayamat ki bhukh aur pyaas ko mehsus karo
logo ke yatimo ka khayal rakho taaki allah tumhare yatimo ka khayal rakhe
roze ki niyyat :
har raat ko agle din ke roze ki niyyat kar le
yaa
paheli raat ko pure mahine ke roze ki niyyat karle
masla :
agar din me sote waqt gusl waajib ho jaae, aur agar jaanbuj kar waajib nahi kiya hai to roza baatil nahi hai.
hamare yaha saheri se pahele roza bandh karne se aur magrib ke time ke baad iftar karne se roza makruh nahi hota balki hamare yaha aisa karne ki taakid ki gai hai
15 ghante sabr kiya hai to behtar ye hai ki namaz e magrib ke baad iftar kare
kisi bhi cheez ko rasm na banaye lekin usko ibadat samaj kar kare aur usme paak aur khulus niyat se hissa le
Quraan khwani me Quraan sahi hota hai, koshish kare ki kuraan khwani me time par haazir rahe aur pura time haazri de taaki sawab mile
3 raat tak majalis is topic par hogi
""zindagi kuraan aur ehlebait ki roshni me"
aaj ke haalaat :
aaj united nations apni zimmedari ada nahi kar raha hai
UP me shia waqaf board me chal rahe corruption ke khilaaf virodh jaari hai
0 comments:
Post a Comment